Saturday, 7 February 2015

Zinda rahna Zaruri Hai !!

kabhi kabhi zinda rahna bohat mushkil hota hai jab halat sath na de sanss lena mushkil ho aur zinda rahna ho apno k liye .......jab ap say bohat say rishtay jore ho Maa Baap Bhai Behan tab itni himmat nahi hoti koi sakhat qadam utha sakay.....
andar hi andar dard anso ka aik tufan hota hai jo ro ro kar kehta hai mujhe azad karo es azab say es qaid say.....uff be,basi aisi khud ko samjha rahe hotay hai nahi abhi nahi himmat harni abhi jeena hai khud say larrna hai......
Main inssan ho kar itni jaldi haar nahi maan sakta aur haaro'n bhi to kyun???
jab mujhe dekh kar jeene wale mere apne hai . Tab lagta jisay mera wajood hi mujhe honsala de raha ho jisay puri duniya fatah ho jaye gi........
Mager kahein andar aik sach yeh bhi chupa hota hai Dar,haqeeqat andar say haar hogi hai Bas aik Honsala hai jis k sahare zindagi guzarni hai DUSARO k liye. !!

                  " Zindagi koi shakayat nahi tum say..
                   " Mger afsos zinda rahne ki ab khawaish nahi !!

Thursday, 5 February 2015

" kabhi bhi apne zakham aur dukh kisi ko na dekhao.....kyukay ye duniya bari Khud,garz hai. es say bhi zaiyda khud,garz es mein basne wale log hai. Ye na to Hamere zakham par marham rakhe gye aur Na Tumhare Anso Saaf kare gye.
Balkay Tumhare Lahu ka akhairi Qatara bhi Pe jaye gye. Tanzeeya Teeroon say Tumhari Rooh zakhami kare gye........Tumhari zakhami rooh pay aik aisi Kahani Rakam kare gye kay inssan khud say nafarat karne pay majboor ho jaye Tanhaoon ka shakar ho jao gye khud hi Apne hatho say Zindagi khatam kar do"

                                 "Agar chupao to khud ko es tarah chupa lo
                                    Tere Dil Ki Baat koi Ankho Say Na parh Sake....!!
inssan ki zindagi bhi bohat ajeeb cheez hai ........sari zindagi bhag door karta hai Kabhi assan banane k liye Kabhi khush.nama banane k liye..
na din ki fikar na raat ki khabar......

               " Shamil rahe tamam umer Duniya ki door mein "
                " Khabar jab Hoi to zindagi na rahi...
                 " Duniya na rahi Akharat na rahi..!!



roz ki tarah aj bhi us ka hassta chehra nazar aaya ankho mein chamak jisay duniya jahan ki khushi samai ho........mger hamesha ki tarah khamosh lab kai
bar socha jaa kar pochon es khamoshi ki waja par aik dar jo aagye bharnay nahi deta kahein jawab mein sawal na aa jaye "Kon Ho Aap?? "

    hazaro shair un,ginat ghazalein jis pay likh di jo meri socho mein yun basa hai jisay sanss jis ka chehra ankho mein yun basa jisay koi khawab sonay na deta ho Kahein uska ye Sawal mujhe mar he na dale un andhoro mein na phank de jahan khamoshi k siwa kuch na ho mere elfazo ko mar na dale jo kabhi baat keh na sake...........sari baatein un kahi na rah jaye us ghazal ki tarh jis k elfaz mar jaye aur wo adhori rah jati hai.........
shayed es liye bohat say sawal sochein lay kar aagye bhar gya jo Un kaha Tha Un Kaha Hi Rah Gya !!